DISCLAIMER: This shayari may trigger memories of that one person who once lived rent-free in your heart. Side effects may include sudden silence, dreamy eyes.
Shayaron ke bhasha me:
Yeh sirf un logon ke liye hai
jo dil ke maamle mein thode se shayar aur thode se shaant hain.
Isme mohabbat ki purani kahaniyon ka zikr ho sakta hai —
jisse aapka ‘main toh move on kar chuka hoon’ wala illusion thoda hil sakta hai.
Kya pata kisi yaad ki chingari phir se ag lagaa de…
Samajh rahe ho na? 😌
Toh agar dil pe thoda kabu hai, toh aaiye sunte hai—
Recommendations— Reader discretion, aur thoda sa tissue, zaroori hai.
To Meherban, Kadardaan, Huzoor… swagat hai aapka! 💫
How to read: Small pause at comma, larger pauses at semi-colons and advised to repeat the current sentence till the end of semi-colon(;)
(.) indicates longer pause as well.
-
(*) Chand, sitare, phool, parinde, shaam, savera ek taraf; saari duniya uska charba uska chehra ek taraf
wo ladh kar bhi so jae to uska matha chumu mae, usse mohabbat ek taraf hai, usse jhagda ek taraf
jis cheez pe woh ungli rakhde, usko wo dilwani hai; uski khushiyan sabse abbal, sasta mahenga ek taraf
zakhmo par marham lagwao, lekin uski haathon se; chara-sazi ek taraf hai lekin uska chhuna ek taraf!
saari duniya jo kuch bhi bole , sab kuch shor sharaba hai; sab ka kehna ek taraf hai lekin uska kehna ek taraf!
usne saari duniya maangi, maine usko maanga hai; uske ek taraf hai lekin mera sapna ek taraf -
(*) Uski doli uthi , mera janaza utha
phool uspar the, phool mujh par bhi the
saheliyan uski bhi the, dost mere bhi the
unka hasna waha, humara rona yaha
wah sajke gayi, hume sajaya gaya
wah uthkar gayi, hume uthaya gaya
fir farq sirf itni baat ka tha;
use apnaya gaya, hume dafnaya gaya -
(#) Itne haseen chehre mile, magar tum nahi mile ;
Tumhare jaise mile, magar tum nahi mile;
Barish, mausam, tumhari pasandida chai Milne ke ishare mile lekin tum nhi mile;
Milne ki aas Rahi Umr bhar, khwab mile, dil mili , magar tum na mile! -
Tanhai ki is aag mein mein jooj raha tha,Zindagi mein tum aayi, mano jaise garmi mein chhao aayi.
Har raah mein andheron se darta tha,Tum mili to roshni ki ek nayi baat aayi.
Ishq ki khushboo thi jaise subah ki dhoop,
Har lamha tha nayi umeed se bhara, jaise khilte phool.Par phir ek din, tum door chali gayi,
Jaise raat ki chaandni subah ki roshni se khoya gayi :(Aaj bhi woh tanhai ki aag jal rahi hai,
Aur tumhari yaadon ki thandi hawa chal rahi hai. -
Ye haseen wadiyan, ye khubsurat nazare; Aur tum !
Ye chahakti chidiya, ye behekti nadiya; Aur tum ! Ye sard ki mausam mein , bas me Aur tum (x2)
Bonus (Prime’s X-Ray feature 🤦♂️)
Context: Diwali ke tyohaar me, insta pe, usne chhoda story pehenke ethnic
My shayari: Karliya like, un anginat shaksh ke tarah;
Uske liye hum wahi saikdon me se koi ek hai, lekin humare liye to bas wahi ek hai.
This was instantaneous and wrote to one of my close friends when he asked “Did you see her insta story?” That my friends marked the beginning of something great
Not what you’re thinking(never gonna happen), that marked my interest and love towards shayari!
Meanings:
charba: copy
chara-sazi: cure
marham: medicine
Bibliography
(*) indicates adapted from someone else’s work
(#) indicates partial adaptation from someone’s work
Rest are completely original work of mine